0 Views· 21 September 2022
Learn Vegetables with ChooChoo Train | छुक छुक रेलगाड़ी और उसके दोस्त
https://zappytoons.com
Learn Vegetables with ChooChoo Train | छुक छुक रेलगाड़ी और उसके दोस्त
Hello mere pyare dosto. Me hu Humpty Dumpty Train. Aaj hum apne saare Vegetable dosto k sath ser pe jaenge. Hum ghumenge pahaado me, maidaano me aur nadi k pass. Par sabse pehle apne saare vegetable dosto ko bula le.
Shuruat karenge gol gol baingan se. Vo raha humara dost baingan.
Baingan : Wooohoo.. Kaise ho Humpty ?
Humpty : Me thik hu, Baigan. Chalo jaldi beth jao. Hume saare dosto k ghar jana hai.
Humpty : Ye raha pyaare aaloo ka ghar. Aaloo. Aaloo. Kaha ho tum ?
Aaloo : Yaha hu me. Kya me b aau ghumne ?
Humpty : Jarur. Jaldi aao.
Humpty : Vo dekho pyaaz ko. Vo apni mummy k sath betha hai. Chalo pyaaz, hum ghumne chale.
Pyaaz : Bye Bye mummy. Me chala ghumne.
Humpty : Vo dekho ek aur sabji. Sundar si lauki.
Lauki : Thank You Humpty, mujhe sundar bolne k liye. Kya tum mujhe bhi leke jaoge ?
Humpty : Ha jarur. Jaldi apni seat pe beth jao.
Humpty : Ab hum kaha jaenge ?
Baingan : Hum jaenge mere jaise gol gol dikhne wali gobhi k pass.
Gobhi : Hello Baingan. Tumse milke badi khusi hui. Chalo hum sab ghumne chale.
Humpty : Ye dekho, ye raha bhindi ka ghar. Bhindi abhi tak soyi hai. Utho bhindi. Hum ser pe ja rahe hai.
Bhindi : Ruko Ruko. Me bhi aati hu.
Bhindi : Humpty, meri choti si dost matar ko b le chale hum ?
Humpty : Jaroor. Hum matar ko leke chalenge. Aa jao matar.
Matar : Thanks Humpty
Matar : Humpty, Meri pyari dost shimla mirch ka ghar aa gaya.
Humpty : Aao shimla mirch. Aaj kaafi din baad mulakaat hui. Chalo hum ghumne chale.
Shimla mirch : Okay Humpty. Me bhi chalungi. Hi Matar. Tum badi achi lag rahi ho.
Matar : Thanks You Shimla Mirch.
Humpty : Vo dekho dosto. Mooli aur Gaazar Football khel rahe hai.
Humpty : Aao Mooli aur Gazar. Humare sath chalo. Hum sab sath me khelenge.
Mooli aur Gaazar : Ok Dosto. Hum bhi aate hai.
Gaazar : Humpty, Karelaa kaafi udaas hai. Kya hum use bhi le chale ?
Humpty : Ha Dost, Hum karele ko bhi le ke chalenge. Aur vo udaas nahi rahega. Aao karele.
Karela : Mujhe tum sab se mil k badi khusi hui dosto.
Humpty Train : Chalo dosto, hum chale ser pe. Aapse fir mulakaat hogi. Bye bye….
#hindirhymes #hindisongsforkids
0 Comments